Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
vaada vo kar rahe hain zaraa lutf dekhiye
vaada ye kah rahaa hai na karnaa vafaa mujhe
وعدہ وہ کر رہے ہیں ذرا لطف دیکھیے
وعدہ یہ کہہ رہا ہے نہ کرنا وفا مجھے
वादा वो कर रहे हैं ज़रा लुत्फ़ देखिए
वादा ये कह रहा है न करना वफ़ा मुझे

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
mazhab-e-ishq-o-vafaa mujh ko ye detaa hai salaah
tu jo kaafir nahin hotaa to musalmaan bhi na ho
ham ne ye dekh liyaa dekh liyaa dekh liyaa
aap bhi 'nuh' ke tufaan se Dar jaate hain
ki vafaa kis se bhalaa faahisha-e-duniyaa ne
hai tujhe shauq jo is qahba ki daamaadi kaa
baad khat aane ke us se thaa vafaa kaa ehtimaal
lek vaan tak umr ne apni vafaadaari na ki
vaise to ik aansu hi bahaa kar mujhe le jaae
aise koi tufaan hilaa bhi nahin saktaa
aashiqi mein bahut zaruri hai
bevafaai kabhi kabhi karnaa