Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
aashiqi mein bahut zaruri hai
bevafaai kabhi kabhi karnaa
عاشقی میں بہت ضروری ہے
بے وفائی کبھی کبھی کرنا
आशिक़ी में बहुत ज़रूरी है
बेवफ़ाई कभी कभी करना

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
sar jhukaaoge to patthar devtaa ho jaaegaa
itnaa mat chaaho use vo bevafaa ho jaaegaa
raat kaa intizaar kaun kare
aaj kal din mein kyaa nahin hotaa
ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae
jis din se chalaa huun miri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi miil kaa patthar nahin dekhaa
koi phuul saa haath kaandhe pe thaa
mire paanv shoalon pe jalte rahe
bevafaa kahiye baa-vafaa kahiye
dil mein aae jo barmalaa kahiye
main kis liye tujhe ilzaam-e-bevafaai duun
ki main to aap hi patthar huun apne raste kaa
husn thaa teraa bahut aalam-fareb
khat ke aane par bhi ik aalam rahaa
samjhaa liyaa fareb se mujh ko to aap ne
dil se to puchh lijiye kyuun be-qaraar hai
tire aane kaa dhokaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai
ishq mein sachchaa thaa vo meri tarah
bevafaa to aazmaane se huaa