Shayari
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
baraabar se bach kar guzar jaane vaale
ye naale nahin be-asar jaane vaale
برابر سے بچ کر گزر جانے والے
یہ نالے نہیں بے اثر جانے والے
बराबर से बच कर गुज़र जाने वाले
ये नाले नहीं बे-असर जाने वाले

sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
gharaz kisi se na ai dosto kabhu rakhiyo
bas apne haath yahaan apni abru rakhiyo
yuun ji bahal gayaa hai tiri yaad se magar
teraa khayaal tere baraabar na ho sakaa
sab munajjam kahte hain ab hai baraabar raat din
sar se paa tak dekh kar zulf-e-daraaz-e-yaar ko
barsaat kaa mazaa tire gesu dikhaa gae
aks aasmaan par jo paDaa abr chhaa gae
but-khaana-e-dil meraa kaabe ke baraabar hai
vaajib hai tujhe jaanaan ikraam mire dil kaa