Shayari
'kanval' khushi ki huaa karti hai yunhi takmil
gham-e-hayaat ke har bahr-e-be-karaan se guzar
gham-e-dauraan gham-e-jaanaan gham-e-uqbaa gham-e-duniyaa
'kanval' is zindagi mein gham ke maaron ko na chain aayaa

'kanval' khushi ki huaa karti hai yunhi takmil
gham-e-hayaat ke har bahr-e-be-karaan se guzar
hansi mein kaTti thiin raatein khushi mein din guzartaa thaa
'kanval' maazi kaa afsaana na tum bhule na ham bhule
jis ne buniyaad gulistaan ki kabhi Daali thi
us ko gulshan se guzarne nahin deti duniyaa
kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyuun
zindagi mein pinhaan hai ik chubhan na jaane kyuun
zindagi gum na dosti gum hai
ye haqiqat hai aadmi gum hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
specialist pain-killer de to kaun saa?
''saare jahaan kaa dard hamaare jigar mein hai''
main nibal tanhaa na is duniyaa ki sohbat siin huaa
rustamon kuun kar diyaa hai naa-tavaan inzaal niin
tu kahaan rahti hai puchhaa thaa kisi ne ek din
main ghamon ke saath rahti huun khushi kahne lagi