Shayari
jo toD doge mujhe tum bhi TuuT jaaoge
ki irtibaat-e-salaasil ki ik kaDi huun main
K
Kausar Siwanitanur-e-vaqt ki hiddat se Dar gae ham bhi
magar tapish mein tape to nikhar gae ham bhi
تنور وقت کی حدت سے ڈر گئے ہم بھی
مگر تپش میں تپے تو نکھر گئے ہم بھی
तनूर-ए-वक़्त की हिद्दत से डर गए हम भी
मगर तपिश में तपे तो निखर गए हम भी
jo toD doge mujhe tum bhi TuuT jaaoge
ki irtibaat-e-salaasil ki ik kaDi huun main
hamein jo fikr ki daavat na de sake 'kausar'
vo sher sher to hai ruh-e-shaaeri to nahin
kyaa dil ki pyaas thi ki bujhaai na jaa saki
baadal nichoD ke na samundar taraash ke
samundar ki tarah vusat ho jis mein
vo qatra bahr hai qatra nahin hai
zindagi kuchh to bharam rakh le vafaadaari kaa
tujh ko mar mar ke shab-o-roz sanvaaraa hai bahut
main to qaabil na thaa un ke didaar ke
un ki chaukhaT pe meri khataa le gai
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
javaab aae na aae shikan to aaegi
savaal puchh hi lenaa agarche Darte hue
abhi kitni sazaaein aur degaa
na mar jaaun kahin main tere Dar se
khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
jiine vaale qazaa se Darte hain
zahr pi kar davaa se Darte hain