Shayari
lakirein khinchte rahne se ban gai tasvir
koi bhi kaam ho, be-kaar thoDi hotaa hai
sadaaein Duub jaati hain havaa ke shor mein aur main
gali-kuchon mein tanhaa chikhtaa rahtaa huun baarish mein
صدائیں ڈوب جاتی ہیں ہوا کے شور میں اور میں
گلی کوچوں میں تنہا چیختا رہتا ہوں بارش میں
सदाएँ डूब जाती हैं हवा के शोर में और मैं
गली-कूचों में तन्हा चीख़ता रहता हूँ बारिश में

lakirein khinchte rahne se ban gai tasvir
koi bhi kaam ho, be-kaar thoDi hotaa hai
haath chhuDaa kar jaane vaale
main tujh ko apnaa samjhaa thaa
munkashif! aaj talak ho na sakaa
main khalaa huun ki khalaa hai mujh mein
main ne tujh ko manzil jaanaa
tu mujh ko rasta samjhaa thaa
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamaare darmiyaan ye faasle, kaise nikal aae
ajab pur-lutf manzar dekhtaa rahtaa huun baarish mein
badan jaltaa hai aur main bhigtaa rahtaa huun baarish mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
baham ik mukhtasar se dil mein hain shaadi o gham donon
ye chhoTaa saa makaan aur is mein dozakh bhi hai jannat bhi
meri betaabi ki mushkil aap aasaan ho gai
baDh gayaa dard-e-dil-e-betaab to kam ho gayaa
ek dal aur khvaast-gaar hazaar
kyaa karun yak anaar sad bimaar