Shayari
dekh kar bhi na dekhnaa us kaa
ye adaa to buton mein hoti hai
ye kaun aag lagaane pe hai yahaan maamur
ye kaun shahr ko maqtal banaane vaalaa hai
یہ کون آگ لگانے پہ ہے یہاں مامور
یہ کون شہر کو مقتل بنانے والا ہے
ये कौन आग लगाने पे है यहाँ मामूर
ये कौन शहर को मक़्तल बनाने वाला है

dekh kar bhi na dekhnaa us kaa
ye adaa to buton mein hoti hai
kisi ne meri taraf dekhnaa na thaa 'khurshid'
to be-sabab hi sanvaaraa gayaa thaa kyuun mujh ko
koi nahin jo miTaae miri siyah-bakhti
falak pe kitne sitaare hain jagmagaae hue
tiraa bakhshaa huaa ik zakhm pyaare
chali ThanDi havaa jalne lagaa hai
havaa-e-taaza kaa jhonkaa idhar se kyaa guzraa
gire paDe hue patton mein jaan aa gai hai
khvaabon ki main ne ek imaarat banaai aur
yaadon kaa us mein ek daricha banaa liyaa
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe