Shayari
bahut dushvaar thi raah-e-mohabbat
hamaaraa saath dete ham-safar kyaa
phuul rote hain khaar hanste hain
dekh! gulshan kaa ye nazaaraa bhi
پھول روتے ہیں خار ہنستے ہیں
دیکھ! گلشن کا یہ نظارا بھی
फूल रोते हैं ख़ार हँसते हैं
देख! गुलशन का ये नज़ारा भी

bahut dushvaar thi raah-e-mohabbat
hamaaraa saath dete ham-safar kyaa
haal kah dete hain naazuk se ishaare akasr
kitni khaamosh nigaahon ki zabaan hoti hai
khud-shanaasi thi justuju teri
tujh ko DhunDaa to aap ko paayaa
un ke gesu sanvarte jaate hain
haadse hain guzarte jaate hain
shaam-e-hijraan bhi ik qayaamat thi
aap aae to mujh ko yaad aayaa
kaun samjhe ham pe kyaa guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
sainkaDon dilkash bahaarein thiin hamaari muntazir
ham tiri khvaahish mein lekin Thokarein khaate rahe
ab itnaa aql se begaana ho gayaa huun main
gulon ke shikve sitaaron se kah rahaa huun main
is dafa to zindagi jaldi mein thi
kah do agli baar fursat mein mile