Shayari
ye aur baat ki chaahat ke zakhm gahre hain
tujhe bhulaane ki koshish to varna ki hai bahut
kitne chehre kitni shaklein phir bhi tanhaai vahi
kaun le aayaa mujhe in aainon ke darmiyaan
کتنے چہرے کتنی شکلیں پھر بھی تنہائی وہی
کون لے آیا مجھے ان آئینوں کے درمیاں
कितने चेहरे कितनी शक्लें फिर भी तन्हाई वही
कौन ले आया मुझे इन आईनों के दरमियाँ

ye aur baat ki chaahat ke zakhm gahre hain
tujhe bhulaane ki koshish to varna ki hai bahut
us ko dekhaa to ye mahsus huaa
ham bahut duur the khud se pahle
bas ek apne hi qadmon ki chaap suntaa huun
main kaun huun ki bhare shahr mein bhi tanhaa huun
aune-paune ghazlein bechin nazmon kaa bevpaar kiyaa
dekho ham ne peT ki khaatir kyaa kyaa kaarobaar kiyaa
ek jangal jis mein insaan ko darindon se hai khauf
ek jangal jis mein insaan khud se hi sahmaa huaa
chaandni shab tu jis ko DhunDne aai hai
ye kamra vo shakhs to kab kaa chhoD gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hazaar rang mein mumkin hai dard kaa izhaar
tire firaaq mein marnaa hi kyaa zaruri hai
dard jaaegaa to kuchh kuchh jaaegaa par dekhnaa
chain jab jaaegaa to saaraa kaa saaraa jaaegaa
isi par khush hain ki ik dusre ke saath rahte hain
abhi tanhaai kaa matlab nahin samjhe hain ghar vaale