Shayari
haalaat kyaa ye tere bichhaDne se ho gae
lagtaa hai jaise ham kisi mele mein kho gae
vaqt hotaa hai bevafaa yaaro
aadmi bevafaa nahin hotaa
وقت ہوتا ہے بے وفا یارو
آدمی بے وفا نہیں ہوتا
वक़्त होता है बेवफ़ा यारो
आदमी बेवफ़ा नहीं होता

haalaat kyaa ye tere bichhaDne se ho gae
lagtaa hai jaise ham kisi mele mein kho gae
aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
barsaat ke mausam mein sitaare nikal aae
mujh se dilli ki nahin dil ki kahaani suniye
shahr to ye bhi kai baar luTaa hai mujh mein
jahaan jahaan koi urdu zabaan boltaa hai
vahin vahin miraa hindostaan boltaa hai
apni taarif suni hai to ye sach bhi sun le
tujh se achchhaa tiraa kirdaar nahin ho saktaa
shabnam ki jagah aag ki baarish ho magar ham
'mansur' na maangeinge duaa aur tarah ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
muhayyaa sab hai ab asbaab-e-holi
uTho yaaro bharo rangon se jholi
qayaamat tak judaa hove na yaa-rab
junun ke dast se meraa garebaan
jo tu aaina rakh kar saamne zevar pahantaa hai
tiri baali ki machhli tairti hai yaar paani mein
yahi ronaa hai furqat mein to jaan aankhon se niklegi
hai murgh-e-aabi uDne ke liye tayyaar paani mein