Shayari
haalaat kyaa ye tere bichhaDne se ho gae
lagtaa hai jaise ham kisi mele mein kho gae
aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
barsaat ke mausam mein sitaare nikal aae
آنکھوں سے محبت کے اشارے نکل آئے
برسات کے موسم میں ستارے نکل آئے
आँखों से मोहब्बत के इशारे निकल आए
बरसात के मौसम में सितारे निकल आए

haalaat kyaa ye tere bichhaDne se ho gae
lagtaa hai jaise ham kisi mele mein kho gae
mujh se dilli ki nahin dil ki kahaani suniye
shahr to ye bhi kai baar luTaa hai mujh mein
jahaan jahaan koi urdu zabaan boltaa hai
vahin vahin miraa hindostaan boltaa hai
apni taarif suni hai to ye sach bhi sun le
tujh se achchhaa tiraa kirdaar nahin ho saktaa
pahle to us ki yaad ne sone nahin diyaa
phir us ki aahaTon ne kahaa jaagte raho
shabnam ki jagah aag ki baarish ho magar ham
'mansur' na maangeinge duaa aur tarah ki
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
nafrat se bachaa kar tu ulfat ko sajaa dil mein
paighaam mohabbat kaa har baar diye jaanaa