Shayari
ishq pe ijtihaad kar kar ke
mujtahid ho gayaa huun main gham kaa
ik hi lamhe mein samajh aati nahin koi kitaab
umr lagti hai kisi shakhs ko pahchaanne mein
اک ہی لمحے میں سمجھ آتی نہیں کوئی کتاب
عمر لگتی ہے کسی شخص کو پہچاننے میں
इक ही लम्हे में समझ आती नहीं कोई किताब
उम्र लगती है किसी शख़्स को पहचानने में

ishq pe ijtihaad kar kar ke
mujtahid ho gayaa huun main gham kaa
mohabbat ki bhi to ik bevafaa se
ye qatl-e-khud nahin to aur kyaa hai
hai isi baat kaa malaal mujhe
ki mujhe ab koi malaal nahin
hone do agar ho gae kuchh log bure bhi
gulshan mein agar phuul hain to khaar bhi honge
laDkaa na koi phir se ho barbaad dahr mein
tujh par na jaaein beTiyaan teri khudaa kare
raahon ke pattharon kaa bhalaa kyaa gila karun
ab aadmi ke dil bhi to patthar ke ho gae
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ek misraa hai zindagi meri
aap chaahein to sher ho jaae
ai dil vo aashiqi ke fasaane kidhar gae
vo umr kyaa hui vo zamaane kidhar gae
kar rahaa huun tujhe khushi se basar
zindagi tujh se daad chaahtaa huun