Shayari
dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
kar rahaa huun tujhe khushi se basar
zindagi tujh se daad chaahtaa huun
کر رہا ہوں تجھے خوشی سے بسر
زندگی تجھ سے داد چاہتا ہوں
कर रहा हूँ तुझे ख़ुशी से बसर
ज़िंदगी तुझ से दाद चाहता हूँ

dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
kaisi hoti hain udaasi ki jaDein
aa dikhaaun tujhe dil ke reshe
kisi tarah se nazar mutmain nahin hoti
har ek shai ko dobaara badal ke dekhtaa huun
Thiik se yaad bhi nahin ab to
ishq ne mujh mein kab qayaam kiyaa
barham hain mujh pe is liye donon taraf ke log
divaar uTh gai thi to dar kyuun banaayaa hai
patthar mein kaun jonk lagaaegaa mere dost
dil hai to mubtalaa bhi kahin honaa chaahiye
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
tum khush raho hamaari duaa hai tamaam-umr
apni to khair jaisi bhi guzri guzar gai
ziist aur maut kaa aakhir ye fasaana kyaa hai
umr kyuun hasb-e-zarurat nahin di jaa sakti
aur thoDaa saa bikhar jaaun yahi Thaani hai
zindagi main ne abhi haar kahaan maani hai