Shayari
aise khoe sahar ke divaane
lauT kar shaam tak na ghar aae
gham-e-insaan ko siine se lagaa lo
ye khidmat bandagi se kam nahin hai
غم انساں کو سینے سے لگا لو
یہ خدمت بندگی سے کم نہیں ہے
ग़म-ए-इंसाँ को सीने से लगा लो
ये ख़िदमत बंदगी से कम नहीं है

aise khoe sahar ke divaane
lauT kar shaam tak na ghar aae
tufaan se bach ke Duubi hai kashti kahaan na puchh
saahil bhi e'tibaar ke qaabil nahin rahaa
yahi aaina hai vo aaina jo liye hai jalva-e-aagahi
ye jo shaaeri kaa shuur hai ye payambari ki talaash hai
gham-e-maaal gham-e-zindagi gham-e-dauraan
hamaare ishq kaa charchaa kahaan kahaan na rahaa
ham to aashufta-sari se na sanvarne paae
aap se kyuun na sanvaaraa gayaa gesu apnaa
agar duniyaa tujhe divaana kahti hai to kahne de
vafaadaaraan-e-ulfat par yahi ilzaam aataa hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki