Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aag the ibtidaa-e-ishq mein ham
ab jo hain khaak intihaa hai ye
آگ تھے ابتدائے عشق میں ہم
اب جو ہیں خاک انتہا ہے یہ
aag the ibtidā-e-ishq meñ ham
ab jo haiñ ḳhaak intihā hai ye

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mushkil-e-ishq mein laazim hai tahammul 'saaqib'
baat bigDi hui banti nahin ghabraane se
phir mujhe le chalaa udhar dekho
dil-e-khaana-kharaab ki baatein
ishq-baazi bul-havas baazi na jaan
ishq hai ye khaana-e-khaala nahin
naasur ki sifat hai na hogaa kabhu vo band
jarraah zakhm-e-ishq kuun aa kar siyaa to kyaa