Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
naasur ki sifat hai na hogaa kabhu vo band
jarraah zakhm-e-ishq kuun aa kar siyaa to kyaa
ناسور کی صفت ہے نہ ہوگا کبھو وہ بند
جراح زخم عشق کوں آ کر سیا تو کیا
नासूर की सिफ़त है न होगा कभू वो बंद
जर्राह ज़ख़्म-ए-इश्क़ कूँ आ कर सिया तो क्या

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kisi se ishq ho jaane ko afsaana nahin kahte
ki afsaane mata-e-kucha-o-baazaar hote hain
log nafrat ki fazaaon mein bhi ji lete hain
ham mohabbat ki havaa se bhi Daraa karte hain