Shayari
zakhm kaari lagaa to chuum liyaa
qabza khanjar kaa haath qaatil kaa
M
Mirza Azam Ali Azamis liye chup hain ki koi nahin sunne vaalaa
varna kahne ko saraapaa lab-e-goyaa ham hain
اس لئے چپ ہیں کہ کوئی نہیں سننے والا
ورنہ کہنے کو سراپا لب گویا ہم ہیں
इस लिए चुप हैं कि कोई नहीं सुनने वाला
वर्ना कहने को सरापा लब-ए-गोया हम हैं
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
aap ne tasvir bheji main ne dekhi ghaur se
har adaa achchhi khamoshi ki adaa achchhi nahin
us dariche mein bhi ab koi nahin aur ham bhi
sar jhukaae hue chup-chaap guzar jaate hain
phir khamoshi ne saaz chheDaa hai
phir khayaalaat ne li angDaai
aankhon mein nami si hai chup chup se vo baiThe hain
naazuk si nigaahon mein naazuk saa fasaana hai