Shayari
is liye chup hain ki koi nahin sunne vaalaa
varna kahne ko saraapaa lab-e-goyaa ham hain
M
Mirza Azam Ali Azamzakhm kaari lagaa to chuum liyaa
qabza khanjar kaa haath qaatil kaa
زخم کاری لگا تو چوم لیا
قبضہ خنجر کا ہاتھ قاتل کا
ज़ख़्म कारी लगा तो चूम लिया
क़ब्ज़ा ख़ंजर का हाथ क़ातिल का
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
rindon ko paabandi-e-duniyaa kahaan
kashti-e-mai ko nahin langar ki chaah
maston mein phuuT paD gai aate hi yaar ke
laDtaa hai aaj shishe se shisha sharaab kaa
dekhnaa kam-nigahi kijiyo mat ai saaqi
ba-juz-ushshaaq hai mai sab ko baraabar pahunche