Shayari
talaash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishaanon ki
koi kapDe mein jaise zakhm-e-sozan kaa nishaan DhunDhe
M
Mirza Mohammad Taqi Hawassab ham-safir chhoD ke tanhaa chale gae
kunj-e-qafas mein mujh ko giraftaar dekh kar
سب ہم صفیر چھوڑ کے تنہا چلے گئے
کنج قفس میں مجھ کو گرفتار دیکھ کر
सब हम-सफ़ीर छोड़ के तन्हा चले गए
कुंज-ए-क़फ़स में मुझ को गिरफ़्तार देख कर
talaash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishaanon ki
koi kapDe mein jaise zakhm-e-sozan kaa nishaan DhunDhe
aashnaa koi nazar aataa nahin yaan ai 'havas'
kis ko main apnaa anis-e-kunj-e-tanhaai karun
dekhein kyaa ab ke asiri hamein dikhlaati hai
log kahte hain ki phir fasl-e-bahaar aati hai
dil mein ik iztiraab baaqi hai
ye nishaan-e-shabaab baaqi hai
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaand baghal mein ho ik chaand muqaabil ho
sahraa mein 'havas' khaar-e-mughilaan ki madad se
baare miraa khuun har khas-o-khaashaak ko pahunchaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ek dard ki lazzat barqaraar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki khuun se aabyaari ki
hijr thaa baar-e-amaanat ki tarah
so ye gham aakhiri hichki se uThaa