Shayari
aashnaa koi nazar aataa nahin yaan ai 'havas'
kis ko main apnaa anis-e-kunj-e-tanhaai karun
M
Mirza Mohammad Taqi Hawastalaash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishaanon ki
koi kapDe mein jaise zakhm-e-sozan kaa nishaan DhunDhe
تلاش اس طرح بزم عیش میں ہے بے نشانوں کی
کوئی کپڑے میں جیسے زخم سوزن کا نشاں ڈھونڈھے
तलाश इस तरह बज़्म-ए-ऐश में है बे-निशानों की
कोई कपड़े में जैसे ज़ख़्म-ए-सोज़न का निशाँ ढूँढे
aashnaa koi nazar aataa nahin yaan ai 'havas'
kis ko main apnaa anis-e-kunj-e-tanhaai karun
sab ham-safir chhoD ke tanhaa chale gae
kunj-e-qafas mein mujh ko giraftaar dekh kar
dekhein kyaa ab ke asiri hamein dikhlaati hai
log kahte hain ki phir fasl-e-bahaar aati hai
dil mein ik iztiraab baaqi hai
ye nishaan-e-shabaab baaqi hai
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaand baghal mein ho ik chaand muqaabil ho
sahraa mein 'havas' khaar-e-mughilaan ki madad se
baare miraa khuun har khas-o-khaashaak ko pahunchaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
bhar jaaeinge jab zakhm to aaungaa dobaaraa
main haar gayaa jang magar dil nahin haaraa
jazbon par jab barf jame to jiinaa mushkil hotaa hai
dil ke aatish-daan mein thoDi aag jalaani paDti hai
taDap rahaa hai jo betaab ho ke zakhmon se
ye raaste mein mire dil ke hu-bahu kyaa hai
chashm-e-saaqi mujhe har gaam pe yaad aati hai
raastaa bhuul na jaaun kahin maikhaane kaa