Shayari
main chaahtaa huun tumhein apni zindagi ki tarah
mire vajud pe chhaa jaao chaandni ki tarah
kitnaa ajib-tar hai aqida janaab kaa
patthar ki muraton se vafaa maang rahe ho
کتنا عجیب تر ہے عقیدہ جناب کا
پتھر کی مورتوں سے وفا مانگ رہے ہو
कितना अजीब-तर है अक़ीदा जनाब का
पत्थर की मूरतों से वफ़ा माँग रहे हो

main chaahtaa huun tumhein apni zindagi ki tarah
mire vajud pe chhaa jaao chaandni ki tarah
har ek shaam sanvar jaaegi miri 'mohsin'
har ek baat tumhaari hai shaairi ki tarah
afsaana dard-o-gham kaa sunaayaa na jaaegaa
ab zakhm-e-dil kisi ko dikhaayaa na jaaegaa
itne fareb khaae hain qurbat mein yaar ki
'mohsin' fareb aur bhi khaayaa na jaaegaa
nahin hai paas kisi kaa kisi ko ai 'mohsin'
ki aazmaa ki unhein baar baar dekhaa hai
kaun apnaa hai yahaan kaun paraayaa kahiye
kaun detaa hai bhalaa dukh mein sahaaraa kahiye
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad