Shayari
kahaan qismat mein is ki phuul honaa
vahi dil ki kali hai aur ham hain
kis pe dil aayaa kahaan aayaa bataa ai naaseh
tu miri tarah pareshaan kahaan jaataa hai
کس پہ دل آیا کہاں آیا بتا اے ناصح
تو مری طرح پریشان کہاں جاتا ہے
किस पे दिल आया कहाँ आया बता ऐ नासेह
तू मिरी तरह परेशान कहाँ जाता है

kahaan qismat mein is ki phuul honaa
vahi dil ki kali hai aur ham hain
phir na darmaan kaa kabhi naam 'mubaarak' lenaa
kufr hai dard-e-mohabbat kaa mudaavaa karnaa
khair saaqi ki salaamat mai-kada
jis qadar pi utni hushyaari baDhi
khaTak rahi hai koi shai nikaal de koi
taDap rahaa hai dil-e-be-qaraar siine mein
na maanoge na maanoge hamaari
udhar ho jaaegi duniyaa idhar ki
teri bakhshish ke bharose pe khataaein ki hain
teri rahmat ke sahaare ne gunahgaar kiyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
shaam se kuchh bujhaa saa rahtaa huun
dil huaa hai charaagh muflis kaa
tanhaa na vo haathon ki hinaa le gai dil ko
mukhDe ke chhupaane ki adaa le gai dil ko
tujh ko hai ham se judaai aarzu
mere dil mein shauq hai didaar kaa
dil jigar ki mire puchhe hai khabar kyaa hai ai yaar
nok-e-mizhgaan pe zaraa dekh numudaar hai kyaa