Shayari
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
baaton mein lagaae hi mujhe rakhtaa hai zaalim
vaade vahi jhuTe hain vahi shaam-o-sahar roz
باتوں میں لگائے ہی مجھے رکھتا ہے ظالم
وعدے وہی جھوٹے ہیں وہی شام و سحر روز
बातों में लगाए ही मुझे रखता है ज़ालिम
वअ'दे वही झूटे हैं वही शाम-ओ-सहर रोज़

qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
yuun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein
surkhi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
jangal mein Tesu phulaa aur baagh mein shagufa
fasl-e-bahaar aai mausam gayaa khizaan kaa
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
har subh nikalte hain yahi soch ke ghar se
bikhri hui duniyaa ko sameTeinge kisi din
shaam bhi hai subh bhi hai aur din bhi raat bhi
maah-e-taabaan ab bhi hai mahr-e-darakhshaan ab bhi hai