Shayari
harfon ke mile joD baDhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand mein bakhiya hai qalam kaa
ab vo gali jaa-e-khatar ho gai
haal se logon ko khabar ho gai
اب وہ گلی جائے خطر ہو گئی
حال سے لوگوں کو خبر ہو گئی
अब वो गली जा-ए-ख़तर हो गई
हाल से लोगों को ख़बर हो गई

harfon ke mile joD baDhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand mein bakhiya hai qalam kaa
tasadduq hone vaale pis na jaaein
uThaae haath se daaman ko chaliye
allaah re taraddud-e-khaatir ki kasratein
tuuda banaa diyaa mujhe gard-e-malaal kaa
husn-e-barahnagi ke uThaate baDe maze
hotaa na ruuh ko jo libaas-e-badan hijaab
ek se do daagh do se chaar phir to saikDon
khilte khilte phuul siine par gulistaan ho gayaa
matlab hai miraa aariz-e-pur-nur kaa jalva
aashiq huun tiraa naam ko banda huun khudaa kaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
tire honTon ke sahraa mein tiri aankhon ke jangal mein
jo ab tak paa chukaa huun us ko khonaa chaahtaa huun main
main us gulshan kaa bulbul huun bahaar aane nahin paati
ki sayyaad aan kar meraa gulistaan mol lete hain
khalal ik paD gayaa naahaq gul o bulbul ki sohbat mein
abas kholaa thaa tu ne baagh mein ai gul badan apnaa