Shayari
mujh se naaraaz hain jo log vo khush hain un se
main judaa chiiz huun 'naatiq' mire ashaar judaa
N
Natiq Gulavthizikr-e-sharaab-e-naab pe vaaiz ukhaD gayaa
bole the achchhi baat bhale aadmi se ham
ذکر شراب ناب پہ واعظ اکھڑ گیا
بولے تھے اچھی بات بھلے آدمی سے ہم
ज़िक्र-ए-शराब-ए-नाब पे वाइ'ज़ उखड़ गया
बोले थे अच्छी बात भले आदमी से हम
mujh se naaraaz hain jo log vo khush hain un se
main judaa chiiz huun 'naatiq' mire ashaar judaa
hangaama-e-hayaat se lenaa to kuchh nahin
haan dekhte chalo ki tamaashaa hai raah kaa
vahaan se le gai naakaam badbakhton ko khud-kaami
jahaan chashm-e-karam se khud-ba-khud kuchh kaam honaa thaa
aati hai yaad subh-e-masarrat ki baar baar
khurshid aate aate use kal uThaa to laa
sab ko ye shikaayat hai ki hanstaa nahin 'naatiq'
ham ko ye taajjub ki vo giryaan nahin hotaa
kuchh nahin achchhaa to duniyaa mein buraa bhi kuchh nahin
kijiye sab kuchh magar apni zarurat dekh kar
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ho umr daraaz zakhm-e-dil ki
jis se dar-e-dil ko baaz paayaa
paDe hain nafrat ke biich dil mein baras rahaa hai lahu kaa saavan
hari-bhari hain saron ki faslein badan pe zakhmon ke gul khile hain
mujh ko 'jalil' kaun kahegaa shikasta-dil
khaayaa thaa ek zakhm so vo be-nishaan rahaa
zakhm aur peD ne ik saath duaa maangi hai
dekhiye pahle yahaan kaun haraa hotaa hai