Shayari
yuun main sidhaa gayaa vahshat mein bayaabaan ki taraf
haath jis tarah se aataa hai garebaan ki taraf
banaayaa toD ke aaina aaina-khaana
na dekhi raah jo khalvat se anjuman ki taraf
بنایا توڑ کے آئینہ آئینہ خانہ
نہ دیکھی راہ جو خلوت سے انجمن کی طرف
बनाया तोड़ के आईना आईना-ख़ाना
न देखी राह जो ख़ल्वत से अंजुमन की तरफ़

yuun main sidhaa gayaa vahshat mein bayaabaan ki taraf
haath jis tarah se aataa hai garebaan ki taraf
dard-e-dil se ishq ke be-pardagi hoti nahin
ik chamak uThti hai lekin raushni hoti nahin
bichhaD ke tujh se mujhe hai umiid milne ki
sunaa hai ruuh ko aanaa hai phir badan ki taraf
dil is tarah havaa-e-mohabbat mein jal gayaa
bhaDki kahin na aag na uTThaa dhuaan kahin
nashshe mein sujhti hai mujhe duur duur ki
naddi vo saamne hai sharaab-e-tuhur ki
asiri mein bahaar aai hai fariyaad-o-fughaan kar lein
nafas ko khun-fishaan kar lein qafas ko bostaan kar lein
us ke dushman hain bahut aadmi achchhaa hogaa
vo bhi meri hi tarah shahr mein tanhaa hogaa
main tanhaa thaa main tanhaa huun
tum aao to kyaa na aao to kyaa
pichhle safar mein jo kuchh biitaa biit gayaa yaaro lekin
aglaa safar jab bhi tum karnaa dekho tanhaa mat karnaa
ab jahaan main huun vahaan mere sivaa kuchh bhi nahin
main isi sahraa mein rahtaa thaa magar tanhaa na thaa
main apni zaat ki tanhaai mein muqayyad thaa
phir is chaTaan mein ik phuul ne shigaaf kiyaa
monis-e-shab rafiq-e-tanhaai
dard-e-dil bhi kisi se kam to nahin