Shayari
ham apne pairon kaa ek kaanTaa nikaalne ke liye ruke the
bas itne lamhe kaa bitnaa thaa ki ham se aage nikal gae sab
barson se qatra qatra jo ho rahi thi yakjaa
vo muntashir khamoshi ab shor ho gai hai
برسوں سے قطرہ قطرہ جو ہو رہی تھی یکجا
وہ منتشر خموشی اب شور ہو گئی ہے
बरसों से क़तरा क़तरा जो हो रही थी यकजा
वो मुंतशिर ख़मोशी अब शोर हो गई है

ham apne pairon kaa ek kaanTaa nikaalne ke liye ruke the
bas itne lamhe kaa bitnaa thaa ki ham se aage nikal gae sab
'ishq ki chaadar laayaa huun aur khaas baat ye hai is mein
jitne pair pasaaro ye utni lambi ho jaati hai
dukh ke baazaar mein ham zabt kamaane vaale
ashk ko aankh kaa nuqsaan kahaa karte hain
sar yuun jhukte chale jaate hain ki gir hi na paDein
aisi 'izzat mire sarkaar buri lagti hai
kisi samundar se ek qatra agar nikal kar nadi ki jaanib
qadam uThaa le to vo safar ik misaal hogaa kamaal hogaa
khushk gul phir bhi kitaabon mein bhale lagte hain
zang lag jaae to talvaar buri lagti hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
shahr gum-sum raaste sunsaan ghar khaamosh hain
kyaa balaa utri hai kyuun divaar-o-dar khaamosh hain
kal shajar ki guftugu sunte the aur hairat mein the
ab parinde bolte hain aur shajar khaamosh hain
ye bachpan ke saathi ki hai qabr 'saahil'
jo sab ko rulaa kar yahaan so rahaa hai
chupke se guzarte hain khabar bhi nahin hoti
din raat bhi kam-bakht javaani ki tarah hain