Shayari
main kaaTaa jaaungaa sab ko 'aziz hote hue
saDak ke biich mein aayaa huaa darakht huun main
lafz-e-ehsaas ko tasvir nahin kar sakte
'ishq duniyaa ki zabaanon se baDaa hai shaayad
لفظ احساس کو تصویر نہیں کر سکتے
عشق دنیا کی زبانوں سے بڑا ہے شاید
लफ़्ज़-ए-एहसास को तस्वीर नहीं कर सकते
'इश्क़ दुनिया की ज़बानों से बड़ा है शायद

main kaaTaa jaaungaa sab ko 'aziz hote hue
saDak ke biich mein aayaa huaa darakht huun main
ye lamha jis mein ham aaj chhup kar gale mile hain
agar muqaddar nahin milaa to sazaa banegaa
ham ko khushiyaan bhi udaasi ke lifaafe mein milin
ham saa bad-bakht zamaane mein nahin hai koi
ghol ke ghol mire sahn mein aa baiThte hain
ye parinde mujhe hijrat nahin karne dete
hamaare baa'd bhi tum qahqahe lagaate ho
tumhaare baa'd to ham baat bhi nahin karte
tumhaare saath ik duniyaa khaDi hai
hamaare saath to ham bhi nahin hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain