Shayari
koi dimaagh se koi sharir se haaraa
mein apne haath ki andhi lakir se haaraa
bachchon ko ham na ek khilaunaa bhi de sake
gham aur baDh gayaa hai jo tyauhaar aae hain
بچوں کو ہم نہ ایک کھلونا بھی دے سکے
غم اور بڑھ گیا ہے جو تہوار آئے ہیں
बच्चों को हम न एक खिलौना भी दे सके
ग़म और बढ़ गया है जो त्यौहार आए हैं

koi dimaagh se koi sharir se haaraa
mein apne haath ki andhi lakir se haaraa
mere jazbaat aansuon vaale
sher sab hichkiyon se likhtaa huun
hamein hijrat samajh mein itni aai
parinda aab-o-daana chaahtaa hai
nazar mein duur talak rahguzar zaruri hai
kisi bhi samt ho lekin safar zaruri hai
taamir-o-taraqqi vaale hain kahiye bhi to un ko kyaa kahiye
jo shish-mahal mein baiThe hue mazdur ki baatein karte hain
aangan aangan khuun ke chhinTe chehra chehra be-chehra
kis kis ghar kaa zikr karun mein kis kis ke sadmaat likhun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage