Shayari
abhi to baat karo ham se doston ki tarah
phir ikhtilaaf ke pahlu nikaalte rahnaa
vo teri bhi to pahli mohabbat na thi 'qatil'
phir kyaa huaa agar vo bhi harjaai ban gayaa
وہ تیری بھی تو پہلی محبت نہ تھی قتیلؔ
پھر کیا ہوا اگر وہ بھی ہرجائی بن گیا
vo terī bhī to pahlī mohabbat na thī 'qatīl'
phir kyā huā agar vo bhī harjā.ī ban gayā

abhi to baat karo ham se doston ki tarah
phir ikhtilaaf ke pahlu nikaalte rahnaa
aakhri hichki tire zaanun pe aae
maut bhi main shaairaana chaahtaa huun
apne haathon ki lakiron mein sajaa le mujh ko
main huun teraa tu nasib apnaa banaa le mujh ko
nikal kar dair-o-kaaba se agar miltaa na but-khaana
to Thukraae hue insaan khudaa jaane kahaan jaate
kyuun sharik-e-gham banaate ho kisi ko ai 'qatil'
apni suuli apne kaandhe par uThaao chup raho
ab jis ke ji mein aae vahi paae raushni
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil-e-fasurda pe sau baar taazgi aai
magar vo yaad ki jaa kar na phir kabhi aai
tark-e-ulfat bhi musibat hai ab is kaa kyaa 'ilaaj
vo judaa ho kar bhi to dil se judaa hotaa nahin
ik 'umr se ulfat ke kaTahre mein khaDaa hai
bhugtaae hain is dil ne muqadmaat musalsal
vasvase Daste rahe ishq mein saanpon ki tarah
be-asaa raah-e-khatarnaak pe din guzre hain