Shayari
puchho to ek ek hai tanhaa sulag rahaa
dekho to shahr shahr hai mela lagaa huaa
yaad aayaa bhi to yuun ahd-e-vafaa
aah ki be-asari yaad aai
یاد آیا بھی تو یوں عہد وفا
آہ کی بے اثری یاد آئی
याद आया भी तो यूँ अहद-ए-वफ़ा
आह की बे-असरी याद आई

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
mohabbat ab nahin hogi ye kuchh din baa'd mein hogi
guzar jaaeinge jab ye din ye un ki yaad mein hogi
muddaton baad jo is raah se guzraa huun 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyaa hai main ne
yaaro nae mausam ne ye ehsaan kiye hain
ab yaad mujhe dard puraane nahin aate
aa gai yaad shaam Dhalte hi
bujh gayaa dil charaagh jalte hi
mere siine se nikaalo miri buniyaad ki jaan
itni aasaani se viraan nahin hotaa main