Shayari
'naashaad' na koi naghma hai ye dard bharaa ik naala hai
kyaa samjhe koi dard-e-jigar jab choT na dil par khaai ho
R
Rabia Sultana Nashadtiri duniyaa mein rah kar kyaa kareinge
khudaayaa umr bhar royaa kareinge
تری دنیا میں رہ کر کیا کریں گے
خدایا عمر بھر رویا کریں گے
तिरी दुनिया में रह कर क्या करेंगे
ख़ुदाया उम्र भर रोया करेंगे
'naashaad' na koi naghma hai ye dard bharaa ik naala hai
kyaa samjhe koi dard-e-jigar jab choT na dil par khaai ho
vaqt ik zarb lagaae to ghazal hoti hai
dard agar dil mein samaae to ghazal hoti hai
mire liye shab-e-mahtaab ik qayaamat hai
tum aao chaand sitaaron mein dil nahin lagtaa
dekhi thiin kabhi main ne bhi barkhaa ki bahaarein
ab TuuTe hue dil ko khudaaraa na dukhaao
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa