Shayari
Duub jaaein na phuul ki nabzein
ai khudaa mausamon ki saansein khol
main ik pahaaDi tale dabaa huun kise khabar hai
baDi aziyyat mein mubtilaa huun kise khabar hai
میں اک پہاڑی تلے دبا ہوں کسے خبر ہے
بڑی اذیت میں مبتلا ہوں کسے خبر ہے
मैं इक पहाड़ी तले दबा हूँ किसे ख़बर है
बड़ी अज़िय्यत में मुब्तिला हूँ किसे ख़बर है

mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
kyon bhalaa kachche makaanon kaa tumhein aayaa khayaal
tum to dariyaa the tumhein tez guzar jaanaa thaa
tum ne to kahaa thaa ki chalo Duub marein ham
ab saahil-e-dariyaa pe khaDe karte ho Taa-Taa
us ne dariyaa ko lagaa kar Thokar
pyaas ki umr baDhaai hogi
banaane baiThtaa huun to teri tasvir banti hai
koi panchhi koi titli koi dariyaa banaane par
phir ret ke dariyaa pe koi pyaasaa musaafir
likhtaa hai vahi ek kahaani kai din se