Shayari
suraj ki tarah maut mire sar pe rahegi
main shaam talak jaan ke khatre mein rahungaa
Duub jaaein na phuul ki nabzein
ai khudaa mausamon ki saansein khol
ڈوب جائیں نہ پھول کی نبضیں
اے خدا موسموں کی سانسیں کھول
डूब जाएँ न फूल की नब्ज़ें
ऐ ख़ुदा मौसमों की साँसें खोल

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
chaand hotaa nahin har ik chehra
phuul hote nahin sukhan saare
jo meri chashm ke parde sharik ho jaate
kamaal-e-daaman-e-abr-e-bahaar baDh jaataa
aaj qaatil kaa gale par mire khanjar chamkaa
lillaahil-hamd ki meraa bhi muqaddar chamkaa