Shayari
main aa kar dushmanon mein bas gayaa huun
yahaan hamdard hain do-chaar mere
suraj sitaare chaand mire saath mein rahe
jab tak tumhaare haath mire haath mein rahe
سورج ستارے چاند مرے ساتھ میں رہے
جب تک تمہارے ہاتھ مرے ہاتھ میں رہے
सूरज सितारे चाँद मिरे साथ में रहे
जब तक तुम्हारे हाथ मिरे हाथ में रहे

main aa kar dushmanon mein bas gayaa huun
yahaan hamdard hain do-chaar mere
ik mulaaqaat kaa jaadu ki utartaa hi nahin
tiri khushbu miri chaadar se nahin jaati hai
hamaare piir 'taqi-mir' ne kahaa thaa kabhi
miyaan ye 'aashiqi 'izzat bigaaD deti hai
aankh mein paani rakho honTon pe chingaari rakho
zinda rahnaa hai to tarkibein bahut saari rakho
ye zaruri hai ki aankhon kaa bharam qaaem rahe
niind rakkho yaa na rakkho khvaab meyaari rakho
botalein khol kar to pi barson
aaj dil khol kar bhi pi jaae
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
chaand taare to mire bas mein nahin hain 'aazar'
phuul laayaa huun miraa haath kahaan tak jaaataa
sharaab o saaqi-e-mah-ru jo saath hon 'bedaar'
to khush-numaa hai shab-e-maahtaab mein dariyaa
yaad-e-jaanaan utar ke aai hai
shab ke ziine se chaandni ki tarah
raat bhi murjhaa chali chaand bhi kumhlaa gayaa
phir bhi tiraa intizaar dekhiye kab tak rahe
main akasr aasmaan ke chaand taare toD laataa thaa
aur ik nannhi si guDiyaa ke liye zevar banaataa thaa