Shayari
vo khush kisi ke saath hain naa-khush kisi ke saath
har aadmi ki baat hai har aadmi ke saath
R
Rasa Rampuribaad-e-fanaa bhi khair se tanhaa nahin hain ham
bandon se chhuT gae to farishton mein aa mile
بعد فنا بھی خیر سے تنہا نہیں ہیں ہم
بندوں سے چھٹ گئے تو فرشتوں میں آ ملے
बअ'द-ए-फ़ना भी ख़ैर से तन्हा नहीं हैं हम
बंदों से छुट गए तो फ़रिश्तों में आ मिले
vo khush kisi ke saath hain naa-khush kisi ke saath
har aadmi ki baat hai har aadmi ke saath
aae agar qayaamat to dhajjiyaan uDaa dein
phirte hain justuju mein fitne tiri gali ke
baDi hi dhuum se daavat ho phir to zaahid ki
ye mai jo chaar ghaDi ko halaal ho jaae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
aisi taraqqi par to ronaa bantaa hai
jis mein dahshat-gard corona bantaa hai