Shayari
vo khush kisi ke saath hain naa-khush kisi ke saath
har aadmi ki baat hai har aadmi ke saath
R
Rasa RampuribaDi hi dhuum se daavat ho phir to zaahid ki
ye mai jo chaar ghaDi ko halaal ho jaae
بڑی ہی دھوم سے دعوت ہو پھر تو زاہد کی
یہ مے جو چار گھڑی کو حلال ہو جائے
बड़ी ही धूम से दावत हो फिर तो ज़ाहिद की
ये मय जो चार घड़ी को हलाल हो जाए
vo khush kisi ke saath hain naa-khush kisi ke saath
har aadmi ki baat hai har aadmi ke saath
aae agar qayaamat to dhajjiyaan uDaa dein
phirte hain justuju mein fitne tiri gali ke
baad-e-fanaa bhi khair se tanhaa nahin hain ham
bandon se chhuT gae to farishton mein aa mile
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
yaadon ki rut ke aate hi sab ho gae hare
ham to samajh rahe the sabhi zakhm bhar gae
dil hai viraan bayaabaan ki tarah
gosha-e-shahr-e-khamoshaan ki tarah
khaamoshi ke naakhun se chhil jaayaa karte hain
koi phir in zakhmon par aavaazein maltaa hai
dil ke zakhmon ko sajaane kaa hunar rakhtaa huun
mustaqil main tiri yaadon kaa safar rakhtaa huun