Shayari
ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
ai adam ke musaafiro hoshiyaar
raah mein zindagi khaDi hogi
اے عدم کے مسافرو ہشیار
راہ میں زندگی کھڑی ہوگی
ऐ अदम के मुसाफ़िरो होशियार
राह में ज़िंदगी खड़ी होगी

ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
kal jinhein chhu nahin sakti thi farishton ki nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain
charaagh-e-tur jalaao baDaa andheraa hai
zaraa naqaab uThaao baDaa andheraa hai
log kahte hain raat biit chuki
mujh ko samjhaao! main sharaabi huun
ye zulf-bar-dosh kaun aayaa ye kis ki aahaT se gul khile hain
mahak rahi hai fazaa-e-hasti tamaam aalam bahaar saa hai
teri surat jo ittifaaq se ham
bhuul jaaein to kyaa tamaashaa ho
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
umr guzri ik nigaah-e-lutf ki ummid mein
ham ko apne hauslon ki ye adaa achchhi lagi
zindagi ek kahaani ke sivaa kuchh bhi nahin
log kirdaar nibhaate hue mar jaate hain
zindagi dekh le nazar bhar ke
ham hain shaamil tire kharaabon mein