Shayari
ham qarib aa kar aur duur hue
apne apne nasib hote hain
phir kisi bevafaa ki yaad aai
phir kisi ne liyaa vafaa kaa naam
پھر کسی بے وفا کی یاد آئی
پھر کسی نے لیا وفا کا نام
फिर किसी बेवफ़ा की याद आई
फिर किसी ने लिया वफ़ा का नाम

ham qarib aa kar aur duur hue
apne apne nasib hote hain
hui thi khvaab mein khushbu si mahsus
tum aae khvaab ki taabir dekhi
ham ko aghyaar kaa gilaa kyaa hai
zakhm khaaein hain ham ne yaaron se
jab bigaDte hain baat baat pe vo
vasl ke din qarib hote hain
kaun kahtaa hai mohabbat ki zabaan hoti hai
ye haqiqat to nigaahon se bayaan hoti hai
aakhir taDap taDap ke ye khaamosh ho gayaa
dil ko sukun mil hi gayaa iztiraab mein
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein