Shayari
kal to is aalam-e-hasti se guzar jaanaa hai
aaj ki raat tiri bazm mein ham aur sahi
kyuun meri tarah raaton ko rahtaa hai pareshaan
ai chaand bataa kis se tiri aankh laDi hai
کیوں میری طرح راتوں کو رہتا ہے پریشاں
اے چاند بتا کس سے تری آنکھ لڑی ہے
क्यूँ मेरी तरह रातों को रहता है परेशाँ
ऐ चाँद बता किस से तिरी आँख लड़ी है

har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
munh chhupaanaa paDe na dushman se
ai shab-e-gham sahar na ho jaae
sirat na ho to aariz-o-rukhsaar sab ghalat
khushbu uDi to phuul faqat rang rah gayaa
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein