Shayari
khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan
meraa shor-e-gharqaabi khatm ho gayaa aakhir
aur rah gayaa baaqi sirf shor dariyaa kaa
میرا شور غرقابی ختم ہو گیا آخر
اور رہ گیا باقی صرف شور دریا کا
मेरा शोर-ए-ग़र्क़ाबी ख़त्म हो गया आख़िर
और रह गया बाक़ी सिर्फ़ शोर दरिया का

khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan
main gham ko basaa rahaa huun dil mein
be-ghar ko makaan de rahaa huun
ghar mein kuchh kam hai ye ehsaas bhi hotaa hai 'salim'
ye bhi khultaa nahin kis shai ki kami lagti hai
jaane andar kyaa huaa main shor sun kar ai 'salim'
us jagah pahunchaa to dekhaa band vo darvaaza thaa
ik aag si jalti rahi taa-umr lahu mein
ham apne hi ehsaas mein pakte rahe taa-der
jitnaa aankh se kam dekhun
utni duur dikhaai de
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
jakDi hui hai in mein miri saari kaaenaat
go dekhne mein narm hai teri kalaaiyaan
chaDhaa huaa thaa vo dariyaa agar hamaare liye
to dekhte hi rahe kyuun utar nahin gae ham
main to zahrile saanpon ko ab bhi duudh pilaataa huun
ye meri fitrat hai 'akhtar' yaa meri naadaani hai
ye maanaa sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad'
zaraa utraa nahin dariyaa ki banjar jaag uThtaa hai
aisi koi khabar to nahin saakinaan-e-shahr
dariyaa mohabbaton ke jo bahte the tham gae