Shayari
qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain
kitni aazaadi se ham apni hadon mein qaid hain
main khayaal huun kisi aur kaa mujhe sochtaa koi aur hai
sar-e-aaina miraa aks hai pas-e-aaina koi aur hai
میں خیال ہوں کسی اور کا مجھے سوچتا کوئی اور ہے
سر آئینہ مرا عکس ہے پس آئینہ کوئی اور ہے
मैं ख़याल हूँ किसी और का मुझे सोचता कोई और है
सर-ए-आईना मिरा अक्स है पस-ए-आईना कोई और है

qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain
kitni aazaadi se ham apni hadon mein qaid hain
intizaar aur dastakon ke darmiyaan kaTti hai umr
itni aasaani se to baab-e-hunar khultaa nahin
main kisi ke dast-e-talab mein huun to kisi ke harf-e-duaa mein huun
main nasib huun kisi aur kaa mujhe maangtaa koi aur hai
vaqt ruk ruk ke jinhein dekhtaa rahtaa hai 'salim'
ye kabhi vaqt ki raftaar huaa karte the
saae gali mein jaagte rahte hain raat bhar
tanhaaiyon ki oT se jhaankaa na kar mujhe
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
hijr ke baa'd ye socho ki kahaan jaaoge
ham to mar jaaeinge vaise bhi hamaaraa kyaa hai
masala jo bhi ho hal ho jaae
tujh ko sochun to ghazal ho jaae