Shayari
shaakh par hon ki un ke juuDe mein
umr hai ek raat phulon ki
meri har shab isi ummid mein kaT jaati hai
vo abhi aaya abhi meraa muqaddar jaagaa
میری ہر شب اسی امید میں کٹ جاتی ہے
وہ ابھی آیا ابھی میرا مقدر جاگا
मेरी हर शब इसी उम्मीद में कट जाती है
वो अभी आया अभी मेरा मुक़द्दर जागा

shaakh par hon ki un ke juuDe mein
umr hai ek raat phulon ki
jo nahin hai vaqt kaa ham-safar use subh-o-shaam ki kyaa khabar
ho kisi kaa vaqt pe kyaa asar bhalaa vaqt kis kaa ghulaam hai
tujhe bhulaa ke bhi sadiyaan bhulaa nahin saktin
magar ye shart hai khud mein kamaal paidaa kar
azizo zindagi ki talkhiyon se main to baaz aaya
rafiqo aur jiine ki duaa se choT lagti hai
taDap rahaa hai jo betaab ho ke zakhmon se
ye raaste mein mire dil ke hu-bahu kyaa hai
jin ke aangan mein nahin koi bhi rone vaalaa
un gharon se bhi guzartaa hai khilaune vaalaa
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har taraf thi khaamoshi aur aisi khaamoshi
raat apne saae se ham bhi Dar ke roe the
suraj se us kaa naam-o-nasab puchhtaa thaa main
utraa nahin hai raat kaa nashsha abhi talak