Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
zaahido uTh jaao majlis se ki aaj
be-tarah aataa hai vo mai-khvaar mast
زاہدو اٹھ جاؤ مجلس سے کہ آج
بے طرح آتا ہے وہ مے خوار مست
ज़ाहिदो उठ जाओ मज्लिस से कि आज
बे-तरह आता है वो मय-ख़्वार मस्त

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ye kah ke us ne mujhe makhmase mein Daal diyaa
milaao haath agar vaaqai mohabbat hai
tamaam umr akele mein tujh se baatein kiin
tamaam umr tire ru-ba-ru khamosh rahe
ThanDi havaa hai aur ghaTaa hai ghiri hui
saaqi tiraa bhalaa ho bujhaa de lagi hui
kisi ik-aadh mai-kash se khataa kuchh ho gai hogi
magar kyuun mai-kade kaa mai-kada bad-naam hai saaqi