Shayari
gham ke taarik ufuq par 'aabid'
kuchh sitaare sar-e-mizhgaan guzre
unhin ko arz-e-vafaa kaa thaa ishtiyaaq bahut
unhin ko arz-e-vafaa naa-gavaar guzri hai
انہیں کو عرض وفا کا تھا اشتیاق بہت
انہیں کو عرض وفا نا گوار گزری ہے
उन्हीं को अर्ज़-ए-वफ़ा का था इश्तियाक़ बहुत
उन्हीं को अर्ज़-ए-वफ़ा ना-गवार गुज़री है

gham ke taarik ufuq par 'aabid'
kuchh sitaare sar-e-mizhgaan guzre
shara-o-aain ki taazir ke baa-vasf shabaab
lab-o-rukhsaar ki jaanib nigaraan hai ki jo thaa
subu uThaa ki ye naazuk maqaam hai saaqi
na ahrman hai na yazdaan hai dekhiye kyaa ho
ik din us ne nain milaa ke sharmaa ke mukh moDaa thaa
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte hain
kuchh ehtiraam bhi kar gham ki vaza-daari kaa
giraan hai arz-e-tamannaa to baar baar na kar
meraa jiinaa hai sej kaanTon ki
un ke marne kaa naam taaj-mahal
kyaa khaaein ham vafaa mein ab imaan ki qasam
jab taar-e-subha rishta-e-zunnaar ho chukaa
mohabbat tu mat kar dil us bevafaa se
dil us bevafaa se mohabbat tu mat kar
kaam aa sakin na apni vafaaein to kyaa karein
us bevafaa ko bhuul na jaaein to kyaa karein
adhuri vafaaon se ummid rakhnaa
hamaare bhi dil ki ajab saadgi hai
na hon khvaahishein na gila koi na jafaa koi
na savaal ahd-e-vafaa kaa ho vahi ishq hai
bhuul kar bhi koi letaa nahin ab naam-e-vafaa
ishq is shahr mein gardan-zadani ho jaise