Shayari
kyaa kahun kis tarah se jiitaa huun
gham ko khaataa huun aansu piitaa huun
apne nazdik dard-e-dil main kahaa
tere nazdik qissa-khvaani ki
اپنے نزدیک درد دل میں کہا
تیرے نزدیک قصہ خوانی کی
अपने नज़दीक दर्द-ए-दिल मैं कहा
तेरे नज़दीक क़िस्सा-ख़्वानी की

kyaa kahun kis tarah se jiitaa huun
gham ko khaataa huun aansu piitaa huun
bevafaa kuchh nahin teri taqsir
mujh ko meri vafaa hi raas nahin
tu hi behtar hai aaina ham se
ham to itne bhi ru-shanaas nahin
kaam tujh se abhi to saaqi hai
ki zaraa ham ko hosh baaqi hai
jannat hai us baghair jahannam se bhi zubun
dozakh bahisht haigi agar yaar saath hai
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDtaa hai pyaar aankhon mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
mire aibon ko ginvaayaa to sab ne
kisi ne meri gham-khvaari nahin ki
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo