Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
buton ki chaah mein ham to azaab hi mein rahe
shab-e-firaaq kaTi roz-e-intizaar aayaa
بتوں کی چاہ میں ہم تو عذاب ہی میں رہے
شب فراق کٹی روز انتظار آیا
बुतों की चाह में हम तो अज़ाब ही में रहे
शब-ए-फ़िराक़ कटी रोज़-ए-इंतिज़ार आया

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
pyaasi bahut thiin hasratein lo aaj mar gaiin
baarish kaa intizaar thaa vo bhi nahin rahaa
tag-o-taaz-e-paiham hai miraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaan aur bhi hain
ye aur baat ki tu do qadam pe bhuul gayaa
hamein to hashr talak teraa intizaar rahaa
kuchh to khayaal kar miri umr-e-daraaz kaa
sadiyaan guzar gai hain tire intizaar mein