Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
ek muddat mein parakhne kaa shuur aataa hai
bevafaa kah duun unhein pahli nazar mein kaise
ایک مدت میں پرکھنے کا شعور آتا ہے
بے وفا کہہ دوں انہیں پہلی نظر میں کیسے
एक मुद्दत में परखने का शुऊर आता है
बेवफ़ा कह दूँ उन्हें पहली नज़र में कैसे

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabaab kaa
goyaa chhalak rahaa hai piyaala sharaab kaa
mujhe malaal nahin teri bevafaai kaa
main apne aap se aankhein nahin milaa saktaa
ghalat-ravi ko tiri main ghalat samajhtaa huun
ye bevafaai bhi shaamil miri vafaa mein hai
ai mujh ko fareb dene vaale
main tujh pe yaqin kar chukaa huun