Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
کچھ تو مجبوریاں رہی ہوں گی
یوں کوئی بے وفا نہیں ہوتا
कुछ तो मजबूरियाँ रही होंगी
यूँ कोई बेवफ़ा नहीं होता

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
sar jhukaaoge to patthar devtaa ho jaaegaa
itnaa mat chaaho use vo bevafaa ho jaaegaa
raat kaa intizaar kaun kare
aaj kal din mein kyaa nahin hotaa
ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae
jis din se chalaa huun miri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi miil kaa patthar nahin dekhaa
koi phuul saa haath kaandhe pe thaa
mire paanv shoalon pe jalte rahe
hasti ke mat fareb mein aa jaaiyo 'asad'
aalam tamaam halqa-e-daam-e-khayaal hai
us ne mujhe dar-asl kabhi chaahaa hi nahin thaa
khud ko de kar ye bhi dhokaa, dekh liyaa hai
bhaTak ke raah se ham sab ko aazmaa aae
fareb de gae jitne bhi rahnumaa aae
fareb-e-jalva kahaan tak ba-ru-e-kaar rahe
naqaab uThaao ki kuchh din zaraa bahaar rahe
fariyaad ai tasavvur-e-abru-e-dil-fareb
qible ki samt bhuul gayaa huun namaaz mein
us ke ifaa-e-ahd tak na jiye
umr ne ham se bevafaai ki