Shayari
mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
sochaa thaa tujh se duur nikal jaaeinge kahin
dekhaa to har maqaam tiri rahguzar mein hai
سوچا تھا تجھ سے دور نکل جائیں گے کہیں
دیکھا تو ہر مقام تری رہ گزر میں ہے
सोचा था तुझ से दूर निकल जाएँगे कहीं
देखा तो हर मक़ाम तिरी रहगुज़र में है

mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
ye bhi to ik dalil hai us ke vajud ki
jab tak na maaniye use dil maantaa nahin
zaahid sharaab piine de masjid mein baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaan par khudaa na ho
na khudaa hi milaa na visaal-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil mein hamaare ye ranj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
kabhi teraa dar kabhi dar-ba-dar kabhi 'arsh par kabhi farsh par
gham-e-'aashiqi tiraa shukriya main kahaan kahaan se guzar gayaa
mahfil mein chaar chaand lagaane ke baavajud
jab tak na aap aae ujaalaa na ho sakaa
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
qatl karne kaa iraada hai magar sochtaa huun
tu agar aae to haathon mein jhijak paidaa ho
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
suraj-dimaagh log bhi ablaagh-e-fikr mein
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gae